ghurub-e-sham hi se khud ko yun mahsus karta hun ki jaise ek diya hun aur hawa ki zad pe rakkha hun chamakti dhup tum apne hi daman mein na bhar lena main sari raat pedon ki tarah barish mein bhiga hun ye kis aawaz ka bosa mere honton pe kanpa hai main pichhli sab sadaon ki halawat bhul baitha hun bichhad ke tum se main ne bhi koi sathi nahin dhunda hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun koi tuta hua rishta na daman se ulajh jae tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun main gir ke tut jaun ya koi mehrab mil jae na jaane kab se hathon mein khilauna ban ke jita hun