gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan

gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan
anjhu ke bhant pani ho ke mati mein ruli ankhiyan

karengi qatl dil kun aaj tegh-e-abruwan-seti
nipat khunin hain zalim hum nin teri atkali ankhiyan

pae-daf-e-gazand-e-zul-fiqar abru tere mukh par
mizha kun kar zaban karti hain dam nad-e-ali ankhiyan

agar dekhen bahaar-e-husn khil gul ke naman phulen
rahin hain mund jaddai ye khizan sin jun kali ankhiyan

nahin darkar kuchh ai khush-nigah surme ka dumbaala
mera dil qatl karne kun yu bas hain atkali ankhiyan

gaya hai mah-ru jab sin juda ho aab-e-haiwan jun
jase mahi juda jal sin tapin yun tilmili ankhiyan

na howe dard-e-sar 'yakru' kun paida garmi-e-gham sun
agar dekhen piya ke mukh ka rang-e-sandali ankhiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close