gulon pe KHak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin

gulon pe khak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin
chaman mein yaad-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin

kahan ki manzil-e-rangin sahar to hone do
hamare khwab thakan ke siwa kuchh aur nahin

ye sham-e-ghurbat-e-dil hai yahan charagh kahan
khayal-e-subh-e-watan ke siwa kuchh aur nahin

nigah-e-shauq-e-musalsal usi ko chhede ja
jabin pe jis ki shikan ke siwa kuchh aur nahin

dayar-e-ishq mein tum kyun khade ho ahl-e-hawas
yahan to dar-o-rasan ke siwa kuchh aur nahin

sawad-e-sham-e-khizan hai to ho hamein kya gham
nazar mein subh-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin

kare talash junun zulmat-e-khirad se kaho
junun kiran hai kiran ke siwa kuchh aur nahin

hamari naghma-sarai ke waste 'darshan'
hawa-e-gang-o-jaman ke siwa kuchh aur nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close