hai ajab haal ye zamane ka

hai ajab haal ye zamane ka
yaad bhi taur hai bhulane ka

pasand aaya bahut hamein pesha
khud hi apne gharon ko dhane ka

kash hum ko bhi ho nasib kabhi
aish-e-daftar mein gungunane ka

aasman hai khamoshi-e-jawed
main bhi ab lab nahin hilane ka

jaan kya ab tera piyala-e-naf
nashsha mujh ko nahin pilane ka

shauq hai is dil-e-darinda ko
aap ke hont kat khane ka

itna nadim hua hun khud se ki main
ab nahin khud ko aazmane ka

kya kahun jaan ko bachane main
'jaun' khatra hai jaan jaane ka

ye jahan 'jaun' ek jahannum hai
yan khuda bhi nahin hai aane ka

zindagi ek fan hai lamhon ko
apne andaz se ganwane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close