hai apne qatl ki dil-e-muztar ko ittilaa

hai apne qatl ki dil-e-muztar ko ittilaa
gardan ko ittilaa na khanjar ko ittilaa
be-parda aaj niklega parda-nashin mera
kar de ye koi mahr-e-munawwar ko ittilaa
chhup-chhup ke ab jo niklo to malum ho maza
kar di hai main ne aap ke ghar bhar ko ittilaa
bulbul na baz aaiyo fariyaad-o-ah se
kab tak na hogi qalb-e-gul-e-tar ko ittilaa
kis tarah kar diya dil-e-nazuk ko chur chur
is waqia ki khak hai patthar ko ittilaa
kya kaam inqalab ka kuchh bhi nahin yahan
daur-e-falak ke daura-e-saghar ko ittilaa
hat jae ek taraf but-e-kafir ki rah se
de koi jald daud ke mahshar ko ittilaa
chalne bhi wo na pae the apne maqam se
pahle se ho gai dil-e-muztar ko ittilaa
main sakht-jaan hun qasd kare dekh-bhaal kar
pahle se ho gai hai ye khanjar ko ittilaa
'parwin' riyaz-e-khuld mein kis kis ko jam den
pahle se hai ye saqi-e-kausar ko ittilaa
This is a great munawwar rana shayari two line. True lovers of parveen shayari urdu will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore funny chut shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close