hai bagh-e-tamanna ki bahaar apni jagah KHub

hai bagh-e-tamanna ki bahaar apni jagah khub
gul apni jagah khub hain khar apni jagah khub

ye khema-zani rah mein apni jagah achchhi
uthta hua manzil pe ghubar apni jagah khub

hum jitne talabgar wo utna hi gurezan
hum apni jagah khub hain yar apni jagah khub

kam apni jagah dasht-e-masafat mein nahin hai
mana ki hain ye shahr-o-dayar apni jagah khub

mil jae jo qaid-e-gham-e-duniya se rihai
phir to hai tere gham ka hisar apni jagah khub

phir ek bhi pal arsa-e-mahshar se nahin kam
kuchh der sitaron ka shumar apni jagah khub

be-sabri-e-hijran mein bhi ek baat hai 'khawar'
har-chand ki hain sabr-o-qarar apni jagah khub


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close