hai sabza-zar har dar-o-diwar-e-gham-kada

hai sabza-zar har dar-o-diwar-e-gham-kada
jis ki bahaar ye ho phir us ki khizan na puchh
na-chaar bekasi ki bhi hasrat uthaiye
dushwari-e-rah o sitam-e-ham-rahan na puchh
juz dil suragh-e-dard ba-dil-khuftagan na puchh
aaina arz kar khat-o-khal-e-bayan na puchh
hindostan saya-e-gul pa-e-takht tha
jah-o-jalal-e-ahd-e-visal-e-butan na puchh
ghaflat-mata-e-kaffa-e-mizan-e-adl hun
ya rab hisab-e-sakhti-e-khwab-e-giran na puchh
har dagh-e-taza yak-dil-e-dagh-intizar hai
arz-e-faza-e-sina-e-dard-imtihan na puchh
kahta tha kal wo mahram-e-raaz apne se ki aah
dard-e-judai-e-'asad'-ullah-khan na puchh
parwaz-e-yak-tap-e-gham-e-taskhir-e-nala hai
garmi-e-nabz-e-nabz-e-khar-o-khas-e-ashiyan na puchh
tu mashq-e-baz kar dil-e-parwana hai bahaar
betabi-e-tajalli-e-atish-ba-jaan na puchh
This is a great gau mata shayari in hindi. True lovers of ajaz khan shayari for gauhar will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this fanaa rehan shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close