hai tere dagh se tar sina-e-sozan mera aab-o-rang aag se rakhta hai gulistan mera gham ke hathon na raha kuchh bhi rafu ke qabil bas-ki sau bar hua chaak gareban mera mauj-e-dariya ki tarah zabt mein aa sakta nahin koi kyun kar kahe ahwal-e-pareshan mera ru agar dijiye is ko bhi to kuchh aib nahin aaine se bhi gaya kya dil-e-hairan mera main to zahir na karun us ki jafa ko lekin chhup sake kyon ki 'yaqin' zakhm-e-numayan mera