hairan hun nasib ki baKHshish ko dekh kar

hairan hun nasib ki bakhshish ko dekh kar
sae se apne dhup mein mahrum hain shajar

qabze mein apne hoti fazaon ki mamlikat
udte agar hawaon ki raftar dekh kar

un se mile to khud se bhi pahchan ho gai
warna hum apni zat se ab tak the be-khabar

har tukde mein bas ek hi taswir paoge
dekho to apni zat ka aaina tod kar

nashtar se log karte hain zakhm-e-jigar rafu
ye rasm to kahan se chali mere chaaragar

'anjum' zamin se jin ki jaden rishta tod len
dekha hai sab ne sukh ke girte hain wo shajar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close