hairan si hai bhachak rahi hai nargis kis gul ko tak rahi hai aai hai bahaar ghunche chatke kya phulon ki bu mahak rahi hai mai-khane pe meinh baras raha hai bijli kaisi chamak rahi hai baqi hai asar abhi junun ka sauda to gaya hai jhak rahi hai puchho na jalan ka dil ke ahwal ek aag padi dahak rahi hai nargis ko to aankh utha ke dekho kis yas se tum ko tak rahi hai laila majnun ka ratti hai nam diwani hui hai bak rahi hai paigham-e-bahaar aan pahuncha bulbul kya kya chahak rahi hai mizhgan ka jo dil mein hai tasawwur ek phans padi khatak rahi hai ho jaega ram rafta rafta wahshat to miti jhijak rahi hai baqi jo ye jaan-e-na-tawan hai kya zindon mein hai sisak rahi hai aane ki tere hi muntazir hai o maut kahan tu thak rahi hai kya shokh hai wo sunahri rangat kandan ki tarah damak rahi hai ru-e-rangin araq-fishan hai shabnam gul se tapak rahi hai hum 'rind' hain bazm apni kis raat be-jam-e-mai o gazak rahi hai