halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala

halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala
dard is dida-e-tar se nahin jaane wala

pa-ba-zanjir nikalega safar ki tadbir
tantana farq-e-hunar se nahin jaane wala

tishna-lab ko to mayassar nahin ek jura-e-ab
bul-hawas luqma-e-tar se nahin jaane wala

munqat'a karte hain bagh-o-shajar-wa-shakh use
rabt mehnat ka samar se nahin jaane wala

pur-kashish bhi hai sar-afraazi-e-duniya bhi magar
zahr ganjina-e-zar se nahin jaane wala

tark-e-duniya ho ki duniya ki talab ho pyare
ye wo sauda hai jo sar se nahin jaane wala

is pe ek aur ghazab abru-e-khamdar bhi hai
bach ke is tegh-e-nazar se nahin jaane wala

sari khushbu simat aai alif-e-qamat ki
gul-e-tar kaf-e-kamar se nahin jaane wala

pairaw-e-sher-e-khuda hun asadullahi hun
ya-'ali' main tere dar se nahin jaane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close