hamara sajan khush-nazar baz hai to us dil mein sab ishq ka raaz hai gale hath de khele nariyan sun khel jisun khele piw u sar-afraaz hai adhar rang bhare suhte manik naman ki yaqut rang un the warsaz hai skyan sain chhand sun panwae apas tuman husn ke tin so u naz hai sanware hain majlis piya rup sun madan mutrib us mein khush-awaz hai sanwanrya hai man-mohniyan apne tin piya kun ainu sun turuk taz hai nabi sadqe 'qubta' pe aanand-dar ali ki maya the sada baz hai