han han ghalat hai ye faqat jo jalwa-gar aankhon mein hai is dil mein teri rah hai tera guzar aankhon mein hai jalwe ki teri aarzu hasrat tere didar ki ab raat din har ek ghadi aathon pahar aankhon mein hai is tarah chhup kar kyon milen is tarah chhup kar kyon rahen ab wo hamare samne aaen agar aankhon mein hai roz-e-azal surat teri dekhe hue muddat hui ab tak wahi jalwa tera sham-o-sahar aankhon mein hai muddat se main yun hi bhatakta phir raha hun dar-ba-dar kis ki talash aankhon ko hai kaisa safar aankhon mein hai mujh ko zarurat hi nahin padti kisi taswir ki jab tak mera mahbub mera ham-safar aankhon mein hai rah-e-mohabbat mein koi rahbar nahin apna miyan bas dekhna ye hai mujhe kitna hunar aankhon mein hai sun 'munfarid' kyon zar phirta hai tu nahaq ku-ba-ku jis ki hai tujh ko justuju wo be-khabar aankhon mein hai