hangam-e-naza girya yahan be-kasi ka tha

hangam-e-naza girya yahan be-kasi ka tha
tum hans pade ye kaun sa mauqa hansi ka tha

uttha na meri gor se dushman bhi baith kar
kya aalam aaj hae meri bekasi ka tha

chhaya hai aasman ki tarah qabr-e-ghair par
dil mein mere ghubar bhara jo kabhi ka tha

dil ne mujhe kharab kiya ku-e-yar mein
dushman par e'tibar mujhe dosti ka tha

sahra mein phir rahe the sulaiman bane hue
jis ko junun kahte hain saya pari ka tha

dikh jaega dil is liye jari hue na ashk
dekho to pas naza mein kitna kisi ka tha

ye apni waza aur ye dushnam se farosh
sun kar jo pi gae ye maza muflisi ka tha

jis anjuman mein baith gaya raunaq aa gai
kuchh aadmi 'riyaz' ajab dil-lagi ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close