hansta hai bar bar mera yar dekh kar mujh ko musibaton mein giraftar dekh kar ye karobar-e-shauq hai wo sahib-hunar saman bechte hain kharidar dekh kar wo har qadam pe thokaren khate hain barha chalte nahin jo waqt ki raftar dekh kar pazhmurda phul hai wo isi nau-bahaar ka patthar na phenko tanz ka bekar dekh kar wo log pasban-e-haram ho na paenge jo bhagte hain lashkar-e-kuffar dekh kar hairat-zada rahega wo maidan-e-hashr mein jo mujh ko tokta tha gunahgar dekh kar pyare nabi ke nutq ka eajaz dekhiye kankar bhi kalima padhte hain guftar dekh kar 'anjum' watan ki yaad bhi shiddat se aa gai ek madar-e-gharib ko bimar dekh kar