haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna ahl-e-qalam ki jurat-e-izhaar dekhna dekhen jinhen hain dair ke diwar-o-dar aziz hum ko to sirf su-e-dar-e-yar dekhna karta raha qalam yunhi shakhen jo baghban napaid hoga saya-e-ashjar dekhna sarkar aap par jo chhidakte hain jaan aaj bach kar chalenge kal ye namak-khwar dekhna buniyaad jis ki hai hawas-e-iqtidar par hone ko hai wo qila bhi mismar dekhna dala jo tum ne hath kulah-e-awam par lag jaenge saron ke bhi ambar dekhna