haqiqaton ko tasawwur se khinch late hain

haqiqaton ko tasawwur se khinch late hain
hum aise log kahani nahin banate hain

ajib log hain basti mein raushni ke liye
diya jalate nahin hain dhuan udate hain

ilaj mang rahe hain ye naqidin-e-ahd
jo aaftab ko dipak yahan dikhate hain

tumhaari fikr ki baisakhiyan nahin lete
hum apni fikr se apna jahan banate hain

hamare panw ke chhaale hamari manzil tak
ubal ubal ke naya rasta banate hain

kalam karti hain aksar wo jagti aankhen
unhen hum apne tasawwur mein jab sajate hain

purani fikr pe qaem hai ye nai duniya
hum us ko roz hi padhte hain bhul jate hain

kisi tarah se na kar paunga teri taqlid
mere khayal ke aahu mujhe bulate hain

hamara kaam hai barson se bas yahi rahi
bhatak gae jo unhen rasta dikhate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close