har baat yahan baat baDhane ke liye hai

har baat yahan baat badhane ke liye hai
ye umr jo dhoka hai to khane ke liye hai

ye daman-e-hasrat hai wahi khwab-e-gurezan
jo apne liye hai na zamane ke liye hai

utre hue chehre mein shikayat hai kisi ki
ruthi hui rangat hai manane ke liye hai

ghafil teri aankhon ka muqaddar hai andhera
ye farsh to rahon mein bichhane ke liye hai

ghabra na sitam se na karam se na ada se
har mod yahan rah dikhane ke liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close