har bar naya le ke jo fitna nahin aaya is umr mein aisa koi lamha nahin aaya hun ghar mein ki ahbab mein matub rahe hum kuchh hum se na aaya to dikhawa nahin aaya aaluda kabhi gard-e-talab se na hue hum honton pe kabhi harf-e-tamanna nahin aaya ye bhi hai ki mauzun na thi duniya ki rawish bhi kuchh hum se bhi jine ka saliqa nahin aaya chhoda to na tha hum ne sawalon ka koi hal thi jis ki tawaqqo wo natija nahin aaya nilam na kar di ho kahin pyas ki ghairat is bar koi kufe se pyasa nahin aaya ek shakhs paheli ki tarah sath tha mere main shahr se nikla to akela nahin aaya