har chand sine mein dil-e-kufr-ashna nahin main us ko pujta hun jo mera khuda nahin wo meri zindagi hai magar zindagi ki tarah mujh se khafa nahin hai ki wo bewafa nahin kya kya na apne sath zamanon ko lai hai wo ek nigah jis se koi aashna nahin shayad main khak-dan ke dhuen ki lakir hun wo mujh ko dekhta hai magar puchhta nahin gunj us ki aaj bhi mere khalwat-kade mein hai wo naghma jis ko tu ne dobara suna nahin un raston ki gard meri zindagi pe hai jin raston pe main kabhi 'akhtar' chala nahin