har ek gam pe sajda yahan rawa hoga

har ek gam pe sajda yahan rawa hoga
khudi ka daur hai har shakhs ab khuda hoga

ba-nam-e-fasl-e-bahaaran khizan ki puja hai
yahi mazaq-e-gulistan raha to kya hoga

dhuan sa uthne laga dil se ahl-e-mahfil mein
naya charagh koi bazm mein jala hoga

tumhaare shahr mein aae hain ahl-e-ghurbat phir
is aas par ki koi dard-ashna hoga

jaras hai un ka sada un ki karwan un ke
siwae gard-e-safar mere pas kya hoga

kabhi na ahd-e-junun mein kisi ne socha tha
khirad ka daur bahut sabr-azma hoga

'nasim' hum se hai zinda jahan mein nam-e-wafa
hamare baad zamana badal chuka hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close