har ek lamha-e-maujud intizar mein tha

har ek lamha-e-maujud intizar mein tha
main agle pal ki tarah waqt ke ghubar mein tha

har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua
main aaftab ke manind rahguzar mein tha

khud apne aap mein uljha hua tha mera wajud
main chaak chaak gareban ke tar tar mein tha

jo us ki khush-sukhani tak rasai chahti thi
mera wajud bhi lafzon ki is qatar mein tha

bil-akhir aa hi gai ikhtilaf ki saat
main jaanta hun tu is pal ke intizar mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close