har ek tahrir nafrat ki mitana chahta hun main mohabbat hi mohabbat ka fasana chahta hun main fasilen nafraton ki sab girana chahta hun main amir-e-shahr ka lekin ishaara chahta hun main andheri raat mein suraj ugana chahta hun main charaghon mein lahu apna jalana chahta hun main falak chhute makanon ki hawas tum ko mubarak ho faqat sar ko chhupane ka thikana chahta hun main fasadon se kisi bhi qaum ko azmat nahin milti amir-e-qaum ko itna batana chahta hun main nai tahzib ka koi gila-shikwa nahin mujh ko magar apne buzurgon ka zamana chahta hun main koi surat nahin haalat ke tabdil hone ki agarche khul ke hansna muskurana chahta hun main jahan 'ejaz' har chehre pe shadabi nazar aae wahi mausam wahi manzar suhana chahta hun main