har jalwe pe nigah kiye ja raha hun main aankhon ko khizr-e-rah kiye ja raha hun main mitne na pae tazgi-e-lazzat-e-gunah tauba bhi gah gah kiye ja raha hun main kaisi ye zindagi hai ki phir bhi hai shauq-e-zist gauhar-nafas ek aah kiye ja raha hun main ashkon ki mashalon ko farozan kiye hue tai iltija ki rah kiye ja raha hun main khud jis ke samne siper-andakhta hai husn aisi bhi ek nigah kiye ja raha hun main shayad kabhi wo bhul ke rakkhen idhar qadam aankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha hun main badhti hi ja rahi hain teri kam-nigahiyan kya dil mein tere rah kiye ja raha hun main zulmat-e-dair-o-kaba mein kuchh raushni si hai shayad koi gunah kiye ja raha hun main 'mulla' har ek taza musibat pe hans ke aur kaj gosha-e-kulah kiye ja raha hun main