har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye

har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye

kya mujhe khush aae ye hairat-sara-e-be-sabaat
hosh udne ke liye hai jaan jaane ke liye

dil ne dekha hai bisat-e-quwwat-e-idrak ko
kya badhe is bazm mein aankhen uthane ke liye

khub ummiden bandhin lekin huin hirman nasib
badliyan utthin magar bijli girane ke liye

sans ki tarkib par mitti ko pyar aa hi gaya
khud hui qaid us ko sine se lagane ke liye

jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha
yaad phir mujh ko dilana bhul jaane ke liye

dida-bazi wo kahan aankhen raha karti hain band
jaan hi baqi nahin ab dil lagane ke liye

mujh ko khush aai hai masti shaikh ji ko farbahi
main hun pine ke liye aur wo hain khane ke liye

allah allah ke siwa aakhir raha kuchh bhi na yaad
jo kiya tha yaad sab tha bhul jaane ke liye

sur kahan ke saz kaisa kaisi bazm-e-samain
josh-e-dil kafi hai 'akbar' tan udane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close