har samt zindagi ka tamasha bhi KHub hai

har samt zindagi ka tamasha bhi khub hai
duniya bhi khub raunaq-e-duniya bhi khub hai

jis shahr mein kisi ko kisi ki khabar nahin
us shahar-e-la-jawab mein jina bhi khub hai

mai-khana-e-hayat ka ahwal kya likhun
saqi bhi khub saghar-e-sahba bhi khub hai

pi kar sharab gum main rahun apne hosh mein
ai zindagi ye tera taqaza bhi khub hai

dekha hai main ne us ke ziyan mein bhi faeda
bazar-e-arzu ka khasara bhi khub hai

hoti hai awwalin hi mulaqat-e-akhiri
insan ka ye maut se rishta bhi khub hai

muddat se chal raha hun magar tai na kar saka
'shahid' ye rah-e-rast-e-tamanna bhi khub hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close