haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai

haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai

tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aata hai
nazar bhi aata nahin aur nazar bhi aata hai

dabi dabi si zaban mein ye puchhna qasid
kabhi khayal mein aashufta-sar bhi aata hai

tumhaari baat hai kuchh aur yun to aane ko
gharib-khane pe aksar qamar bhi aata hai

ghamon ki sham hai be-shak magar udas na ho
ba-shakl-e-sham payam-e-sahr bhi aata hai

meri tabahi ka bais mera nasib sahi
magar ye harf teri zat par bhi aata hai

jawab-e-khat ki to ummid 'ehtisham' kuja
ye dekh laut ke paighambar bhi aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close