harf-e-haq meri zaban se jo nikal padta hai samne wale ki peshani pe bal padta hai in dinon dil ka ajab haal hua hai hamdam baat be-baat pe kam-bakht uchhal padta hai wada-e-wasl hai parson ka magar yaad rahe darmiyan apni mulaqat ke kal padta hai chand par jao ki mirrikh pe pahuncho lekin us se aage ki na socho ki zuhal padta hai baddua lakh karo tum mere haq mein logo mere kaamon mein kahan is se khalal padta hai tum se tanhai mein milne ki tamanna hai magar mere hamrah mera saya bhi chal padta hai tum bade ho to 'raza' zarf samundar sa rakho kyon ki talab to barish mein ubal padta hai