hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah

hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah
dil magar chup hi raha lauh-e-maqabir ki tarah

khushk patton ki tarah chhut gae yaran-e-kuhan
phir na palte kabhi patjhad ke musafir ki tarah

aa teri mang mein kuchh ashk pirota jaun
main to har chhanw se guzrunga muhajir ki tarah

main hun ek naqsh-e-qadam dasht-e-faramoshi ka
bhul jaoge mujhe tum bhi musafir ki tarah

chaaragar dur na jaana kahin ji darta hai
aaj ki raat hai gahri shab-e-akhir ki tarah

dushman-e-mehr-o-wafa se koi karta hai nibah
kaun chahega tujhe tere 'musawwir' ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close