hasti ko apni ishq ke shayan banaiye un ki nazar-nazar ko rag-e-jaan banaiye rudad-e-dard-e-ishq se hairan banaiye un ko bhi aaj ashk-ba-daman banaiye darman ko dard dard ko darman banaiye sehr-e-nazar se ishq ko hairan banaiye mahrum rah sake na koi sina ishq se phulon ko hans ke chaak-gareban banaiye jo kuchh mata-e-dil thi shab-e-gham ne lut li aansu kahan ki zinat-e-mizhgan banaiye ye mushkilen hi asl mein raaz-e-hayat hain dushwariyon ko aap na aasan banaiye kaliyon ko ye latif tabassum kahan nasib bas ab na chashm-e-shauq ko hairan banaiye kahti hain pa-e-yar pe sajdon ki azmaten is kufr hi ko hasil-e-iman banaiye mahdud-e-auj-e-charkh na rakhiye kamal-e-husn zarron ko mehr-o-mah badaman banaiye khud ko jo pa gaya hai wo un ko bhi pa gaya hasti ko apni manzil-e-jaanan banaiye 'nayyar' ba-hadd-e-dasht gulistan bana to kya apni nazar nazar ko gulistan banaiye