hawa ke dosh pe kis ke payam aate hain

hawa ke dosh pe kis ke payam aate hain
hamare ghar ke dar-o-baam mahke jate hain

main sukhi dal hun lekin tumhaari yaadon ke
parinde aa ke sar-e-sham baith jate hain

hamari aankhon mein yun intizar raushan hai
nadi mein jaise kai dip jhilmilate hain

chali hain daur-e-taraqqi ki aandhiyan kya kya
sharafaton ke dar-o-baam tute jate hain

dhundlaka sham ka chhane laga hai sochti hun
ki is samay to parinde bhi laut aate hain

ye zindagi wo kadi dhup hai 'nasim' yahan
na jaane kitne hare ped sukh jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close