hayat-o-maut ke parde gira ke

hayat-o-maut ke parde gira ke
tumhein dekha hai tum se bhi chhupa ke

mujhe tadpa rahe hain yaad aa ke
wo lamhat-e-hasin ahd-e-wafa ke

wahan daman ko uljhae hue hun
guzarna tha jahan daman bacha ke

meri khuddariyon ki laj rakh li
main sadqe us dil-e-be-muddaa ke

teri mahfil mein khali hath aae
kisi ummid par sab kuchh luta ke

khayalon mein tere aanchal ko dekha
sitare jab bhi chatke muskura ke

khabar bhi hai tujhe ai jaan-e-'maikash'
fasane ban gae har har ada ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close