hijr mein aankhen aansu ban kar bah jati hain socha nain

hijr mein aankhen aansu ban kar bah jati hain socha nain
wo bhi us din ghusse mein tha aur main ne bhi roka nain

kitna mushkil hai ye kahna main tera ho sakta nain
phir bhi main tujh ko ye dukh to de sakta hun dhoka nain

ek jagah par thahri aankhen gahri sochen khamoshi
kab tak khud pe zulm karoge is ko wapas aana nain

is se bichhad kar soch raha hun us ko bhulane ki tarkib
log sharab piya karte hain main cigarette tak pita nain

shikwe mujh ko bhi hote hain mera dil bhi dukhta hai
apne andar ghut jata hun meri jaan main kahta nain

kis darja nuqsan uthaya hai hum ishq faqiron ne
jitna tujh ko kho baithe hain utna tujh ko paya nain

ye pariyon se chehre jin par jaan chhidakte hain hum log
mujh ko in pedon ke niche dhup mili hai saya nain

kitni ummiden hoti hain un ko ek han sunne ki
lekin aksar puchhne walon ke hisse mein aaya nain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close