ho ke majbur aah karta hun tham kar dil gunah karta hun abr-e-rahmat umandta aata hai jab khayal-e-gunah karta hun mere kis kaam ki hai ye iksir khak-e-dil waqf-e-rah karta hun dil se khauf-e-jaza nahin mitta darte darte gunah karta hun dil mein hote ho tum to apne par ghair ke ishtibah karta hun tu na dekhe ye dekhna mera tujh se chhup kar gunah karta hun banda-e-ishq hai tera 'bekhud' tujh ko yarab gawah karta hun