hoga ujala dawe-dari us ki thi aur andhere se bhi yari us ki thi shukr khuda ka jit gae hum jang magar hum se behtar to tayyari us ki thi ye bhi sach hai main is bar bhi aage tha ye bhi sach hai ab ke bari us ki thi mere bas mein ruth ke jaana tha manzur mujhe manana zimmedari us ki thi