hon jo sare dast o pa hain KHun main nahlae hue

hon jo sare dast o pa hain khun main nahlae hue
hum bhi hain ai dil bahaaran ki qasam khae hue

khabt hai ai ham-nashin aql-e-harifan-e-bahaar
hai khizan in ki inhen aaina dikhlae hue

kya hai zikr-e-atish-o-ahan ki gaddaran-e-gul
marte hain hath angaron pe ghabrae hue

zindagi ki qadr sikhi shukriya tegh-e-sitam
han hamein the kal talak jine se uktae hue

sair-e-sahil kar chuke ai mauj-e-sahil sar na mar
tujh se kya bahlenge tufanon ke bahlae hue

hai yahi ek karobar-e-naghma-o-masti ki hum
ya zamin par ya sar-e-aflak hain chhae hue

saz uthaya jab to garmate phire zarron ke dil
jam hath aaya to mahr o mah ke ham-sae hue

dasht o dar banne ko hain 'majruh' maidan-e-bahaar
aa rahi hai fasl-e-gul parcham ko lahrae hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close