hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai

hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai
khud aadmi bhi na samjha ki aadmi kya hai

ye fasle jo tere qurb ki zamanat hain
simat gae to bataunga zindagi kya hai

hami ko khak samajh lo tumhaari umr-e-daraaz
ye tazkira to mukammal ho aadmi kya hai

hijab-e-zat se bahar kahan abhi hum log
abhi ye kaun batae ki aadmi kya hai

kaha na tha ki mohabbat ka tazkira na karo
kise khabar thi ki mearaj-e-zindagi kya hai

sawal ye hai ki tum kya nigah rakhte ho
niyaz-mand to waqif hai bandagi kya hai

rawa nahin hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar
kabhi kabhi to batao ki zindagi kya hai

abhi to mujh se khudai ki had mein baat karo
khuda bano to batana ki aadmi kya hai

jabin-e-shauq pe sajdon ke dagh ai 'anjum'
ye bandagi hai to mear-e-bandagi kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close