hui jo raat pahlu mein KHushi se mar gae hum to

hui jo raat pahlu mein khushi se mar gae hum to
agar tere hi aangan mein sahar hoti to kya hota

guzar to yun bhi jaegi kadakti dhup mein tanha
tere daman ke sae mein basar hoti to kya hota

hazaron raste wa the magar tujh tak jo pahunchati
kahin wo ek chhoti si dagar hoti to kya hota

teri is sard-mehri mein kasak si bhi numayan hai
khudaya ye nawazish bhi na gar hoti to kya hota

teri sab dastanon mein mere qisse likhe hote
dua wo ek meri ba-asar hoti to kya hota

bahut hi pur-sukun nikle tere aaghosh se phir hum
ki ye aasudgi aathon pahar hoti to kya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close