hum kuchh is tarah hayat-e-guzaran se guzre

hum kuchh is tarah hayat-e-guzaran se guzre
jaise ehsas koi khwab-e-giran se guzre

yun haqaeq meri chashm-e-nigaran se guzre
jaise ek mauj-e-hawa aab-e-rawan se guzre

aagahi ain haqiqat hai magar shart ye hai
pahle taufiq-e-yaqin hadd-e-guman se guzre

bagh ka dard usi phul ke dil se puchho
muskuraata hua jo daur-e-khizan se guzre

dil ki har baat hai kahni magar aise mein nahin
harf-e-mauzua hadis-e-digaran se guzre

khak-alud hui aisi guzar-gah-e-nasim
bu-e-gul chikh padi hae kahan se guzre

zindagi se ye bata do ki hai manzil kuchh dur
jald hi kashmakash-e-sud-o-ziyan se guzre

ab nigahen wo kahengi jo zaban kahti thi
rukhsat ai dost ki hum lafz-o-bayan se guzre

har kali jama se bahar hui jati hai 'shahab'
dekhiye qafila-e-rang kahan se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close