hum pyas ke maron ka is tarah guzara hai

hum pyas ke maron ka is tarah guzara hai
aankhon mein nadi lekin hathon mein kinara hai

do chaar qadam chal kar do chaar ghadi rukna
manzil bhi tumhaari hai rasta bhi tumhaara hai

palkon ke nasheman se honton ke gulistan tak
kuchh husn tumhaara hai kuchh ishq hamara hai

phulon ke mahakne ka koi to sabab hoga
ya zulf pareshan hai ya lab ka ishaara hai

barfab si duniya mein bas ishq ko thamen rakh
ye aag ka dariya hi tinke ka sahaara hai

ai pir-e-mughan tere maikhane mein to hum ne
ek mai hi nahin pi hai jiwan bhi guzara hai

ye shai jo shab-e-hijran jalti hai na bujhti hai
ab aa ke tumhin dekho jugnu hai ki tara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close