hum to KHush the ki chalo dil ka junun kuchh kam hai

hum to khush the ki chalo dil ka junun kuchh kam hai
ab jo aaram bahut hai to sukun kuchh kam hai

rang-e-girya ne dikhai nahin agli si bahaar
ab ke lagta hai ki aamezish-e-khun kuchh kam hai

ab tera hijr musalsal hai to ye bhed khula
gham-e-dil se gham-e-duniya ka fusun kuchh kam hai

us ne dukh sare zamane ka mujhe bakhsh diya
phir bhi lalach ka taqaza hai kahun kuchh kam hai

rah-e-dunya se nahin dil ki guzargah se aa
fasla garche ziyaada hai pe yun kuchh kam hai

tu ne dekha hi nahin mujh ko bhale waqton mein
ye kharabi ki main jis haal mein hun kuchh kam hai

aag hi aag mere qarya-e-tan mein hai 'faraaz'
phir bhi lagta hai abhi soz-e-darun kuchh kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close