husn-e-hijab-ashna jaanib-e-baam aa gaya baada-e-tah-nashin-e-jam ta lab-e-jam aa gaya aap ne phenk di naqab garmi-e-ishq dekh kar hashr-nawaz husn aaj hashr ke kaam aa gaya millat-e-kufr-o-din ki bahas garm thi khanqah mein itne mein koi mai piye dast-ba-jam aa gaya shauq ka e'tibar kya yas ye ikhtiyar kya rah-e-ummid-o-bim mein dil ka maqam aa gaya dil mera dekhta raha aur meri zaban par lazzat-e-jaan-e-arzu aap ka nam aa gaya dahr jawan ho gaya khul gaya mai-kade ka dar saqi-e-mast mast-e-naz mast-e-khiram aa gaya jalwa-e-be-hijab ko khub samajh raha hun main mahshar-e-did muntazir manzar-e-am aa gaya 'kaifi'-e-be-qarar sun ye rag-e-jaan ke saz se hai meri iltija qubul dil ka payam aa gaya