husn par dastaras ki baat na kar

husn par dastaras ki baat na kar
ye hawas hai hawas ki baat na kar

puchh agle baras mein kya hoga
mujh se pichhle baras ki baat na kar

ye bata haal kya hai lakhon ka
mujh se do chaar das ki baat na kar

ye bata qafile pe kya guzri
mahaz bang-e-jaras ki baat na kar

ishq-e-jaan aafrin ka haal suna
husn-e-isa nafas ki baat na kar

ye bata 'arsh' soz hai kitna
saz par dastaras ki baat na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close