ibtida ka intiha se rabta bandhe hue

ibtida ka intiha se rabta bandhe hue
ghar se nikla hun safar ka muddaa bandhe hue

be-yaqini ka ye aalam ho gaya hai aaj-kal
aadmi das das jagah hai aasra bandhe hue

wo to is ke hukm se hota hai jo bhi faiz ho
kimiya kab hai shifa ka madda bandhe hue

fikr-o-fan ki mahfilon mein ab ye manzar aam hain
be-hunar be-ilm dastar-e-ana bandhe hue

un ke pakiza iradon ki hifazat ai khuda
be-libason mein hain jo band-e-qaba bandhe hue

zindagani ki haqiqat ye samajh lijiye ki bas
bulbula hai ek tufan-e-bala bandhe hue

kar-amad jaan kar ek aala-e-guft-o-shunid
phir rahe hain log daman se qaza bandhe hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close