idhar kuchh din se dil ki bekali kam ho gai hai teri khwahish abhi hai to sahi kam ho gai hai nazar dhundla rahi hai ya manazir bujh rahe hain andhera badh gaya ya raushni kam ho gai hai tera hona to hai bas ek surat ka izafa tere hone se kya teri kami kam ho gai hai khamoshi ko junun se dast-bardari na samjho tajassus badh gaya hai sar-kashi kam ho gai hai tera rabt apne gird-o-pesh se itna ziyaada to kya khwabon se ab wabastagi kam ho gai hai sar-e-taq-e-tamanna bujh gai hai sham-e-umid udasi badh gai hai be-dili kam ho gai hai sabhi zinda hain aur sab ki tarah main bhi hun zinda magar jaise kahin se zindagi kam ho gai hai