in sarabon se guzarne de mujhe

in sarabon se guzarne de mujhe
ungliyan ret mein bharne de mujhe

jis nadi par na utra koi
us nadi par utarne de mujhe

koi sayyah mujhe dhundhega
ek jazira hun ubharne de mujhe

yun na be-zar ho itna khud se
tera chehra hun sanwarne de mujhe

dekh be-manzari-e-manzar ko
kam se kam rang to bharne de mujhe

ru-ba-ru mujh ko kabhi la mere
apne hi aap se darne de mujhe

shukr kije ki shikayat kije
wo na jine de na marne de mujhe

rah mat rok ki mushkil hai bahut
bahta pani hun guzarne de mujhe

ek aisa bhi shajar ho jo 'amir'
apne sae mein thaharne de mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close