insan jo hain in ko kabhi kamtar nahin dekha khud rah ka kham hote hue sar nahin dekha tum bahr-e-mohabbat ke kinare pe khade the tum ne meri aankhon mein samundar nahin dekha yun bit gai shahr-e-ghariban mein meri umr khush-haal yahan main ne koi ghar nahin dekha dil khak hua pyar ki is aag mein jal kar aur jhank ke us ne kabhi andar nahin dekha aawaz pe aawaz wo deta raha 'nayyar' hum ne use ek bar bhi mud kar nahin dekha