is dasht nawardi mein jina bahut aasan tha hum chaak gareban the sar par koi daman tha hum se bhi bahut pahle aaya tha yahan koi jab hum ne qadam rakkha ye khak-dan viran tha udte hue phirte the aawara ghubaron se wo waqt tha jab us ke laut aane ka imkan tha ye rah-e-talab yaro gumrah bhi karti hai saman usi ka tha jo be-sar-o-saman tha