is liye jafaon par mujh ko muskurana tha aur us sitam-gar ka hausla badhana tha aansuon ki qimat jab motiyon se badh kar thi wo meri mohabbat ka aur hi zamana tha jab sitam se darte the ab karam se darte hain ye bhi ek zamana hai wo bhi ek zamana tha zindagi ne luta hai zindagi ko danista maut se shikayat kya maut ka bahana tha wo bhi daur guzra hai jab meri wafaon se aap hi nahin tanha bad-guman zamana tha ai 'nasim' gulshan mein jab bahaar ke din the dosh par fazaon ke mera aashiyana tha