ishq ka shor karen koi talabgar to ho jins bazar mein le jaen kharidar to ho hijr ke sokhta-jaan aur jalenge kitne tur par baithe hain kab se tera didar to ho shiddat-e-dard do-pal ke liye kam hota ki gham ke alfaz ke singar mein izhaar to ho kab se ummid lagae hue baithe hain hum ne sahi gar nahin iqrar so inkar to ho kufr ehram ke parde mein chhupa dekha hai ek aalam hai agar darpai zunnar to ho hum ne mana ki sharafat hai badi chiz magar kuchh zamane ko sharafat se sarokar to ho khana-e-dil mein nahin ek kiran ka bhi guzar sari duniya hai agar matla-e-anwar to ho raazdari hi mein hota hai sharifon ka hisab tujh ko manzur hai gar bar-sar-e-bazar to ho